kar kar ke qaid mujhko wo sayyaad rah gaya
kar kar ke qaid mujh ko vo sayyād rah gayā
maiñ thā asīr-e-ranj so āzād rah gayā
siine se ek tiir to niklā hai jis tarah
us ne magar kiyā thā jo irshād rah gayā
maiñ ne kahā ki vazn ko jāñcho zarā ba-ġhaur
kahne lagā ki jī mire ustād rah gayā
apnī ḳhirad pe hotā hai mujh ko malāl yuuñ
jo bhūlnā thā mujh ko vahī yaad rah gayā
sābir ho koī mujh sā to mujh ko dikhāo bhī
pahlū meñ mere tesha-e-farhād rah gayā
'sā.in' dil-e-ḳharāb kī bātoñ meñ aan ke
sahrā meñ jā milī na ghar ābād rah gayā
kar kar ke qaid mujh ko wo sayyaad rah gaya
main tha asir-e-ranj so aazad rah gaya
sine se ek tir to nikla hai jis tarah
us ne magar kiya tha jo irshad rah gaya
main ne kaha ki wazn ko jaancho zara ba-ghaur
kahne laga ki ji mere ustad rah gaya
apni KHirad pe hota hai mujh ko malal yun
jo bhulna tha mujh ko wahi yaad rah gaya
sabir ho koi mujh sa to mujh ko dikhao bhi
pahlu mein mere tesha-e-farhad rah gaya
'sain' dil-e-KHarab ki baaton mein aan ke
sahra mein ja mili na ghar aabaad rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.