kar ke dil-e-nalan se mere saz kisi ne
kar ke dil-e-nālāñ se mire saaz kisī ne
dī hai mujhe parde se ye āvāz kisī ne
is dil kā hai jo dard vahī jaan hai dil kī
samjhā na kabhī ishq kā ye raaz kisī ne
vā bāb-e-qafas aur huuñ maiñ bāb-e-qafas par
jaise ki uḌā lī par-e-parvāz kisī ne
taqdīr meñ jo kuchh mirī hañsnā hai ki ronā
baḳhshā vahī dil ko mire andāz kisī ne
har ashk kā qatra thā fasāna mire dil kā
dekhā na mirā dīda-e-ġhammāz kisī ne
dī mujh ko taḌap vo bhī ba-qadr-e-dil-e-betāb
maiñ kyā ki ye samjhā na tirā raaz kisī ne
har sher hai Duubā huā tāsīr meñ 'kaifī'
baḳhshā hai mujhe ḳhāma-e-e.ajāz kisī ne
kar ke dil-e-nalan se mere saz kisi ne
di hai mujhe parde se ye aawaz kisi ne
is dil ka hai jo dard wahi jaan hai dil ki
samjha na kabhi ishq ka ye raaz kisi ne
wa bab-e-qafas aur hun main bab-e-qafas par
jaise ki uDa li par-e-parwaz kisi ne
taqdir mein jo kuchh meri hansna hai ki rona
baKHsha wahi dil ko mere andaz kisi ne
har ashk ka qatra tha fasana mere dil ka
dekha na mera dida-e-ghammaz kisi ne
di mujh ko taDap wo bhi ba-qadr-e-dil-e-betab
main kya ki ye samjha na tera raaz kisi ne
har sher hai Duba hua tasir mein 'kaifi'
baKHsha hai mujhe KHama-e-eajaz kisi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.