kar ke KHwab aankh mein pahle to wo lae KHud ko
kar ke ḳhvāb aañkh meñ pahle to vo laa.e ḳhud ko
aur phir mujh ko jagāne ko satā.e ḳhud ko
hai ye lāzim ki malā.ek bhī bashar ho jaa.eñ
ab jo insān farishta nazar aa.e ḳhud ko
āḳhrī marhala aayā hai mohabbat kā ab
ab diyā ḳhud hī bujhā kar bhī dikhā.e ḳhud ko
vo pazīrā.ī kahīñ ishq meñ miltī hī nahīñ
jo bhī rūThā hai vo ab ḳhud hī manā.e ḳhud ko
mujh meñ tū tujh meñ talāshūñ huuñ maiñ sīrat apnī
sañg is tarz pe ā.īna bulā.e ḳhud ko
vaqt-e-duniyā ko samajhne meñ kareñ zaayā kyā
haif ab tak to na ham hī samajh aa.e ḳhud ko
rahzan-e-asr hī le jaa.e na aage kī raah
kah do 'ātif' se ki tezī se baḌhā.e ḳhud ko
kar ke KHwab aankh mein pahle to wo lae KHud ko
aur phir mujh ko jagane ko satae KHud ko
hai ye lazim ki malaek bhi bashar ho jaen
ab jo insan farishta nazar aae KHud ko
aaKHri marhala aaya hai mohabbat ka ab
ab diya KHud hi bujha kar bhi dikhae KHud ko
wo pazirai kahin ishq mein milti hi nahin
jo bhi ruTha hai wo ab KHud hi manae KHud ko
mujh mein tu tujh mein talashun hun main sirat apni
sang is tarz pe aaina bulae KHud ko
waqt-e-duniya ko samajhne mein karen zaya kya
haif ab tak to na hum hi samajh aae KHud ko
rahzan-e-asr hi le jae na aage ki rah
kah do 'atif' se ki tezi se baDhae KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.