kar ke sagar ne kinare mustarad
kar ke sāgar ne kināre mustarad
kar diye apne sahāre mustarad
sharm-gīñ nazroñ ne us kī kar diye
merī āñkhoñ ke ishāre mustarad
aap ke āñchal meñ saj kar jī uThe
the falak par jo sitāre mustarad
us se mil kar phuul shabnam chāñdnī
ho ga.e sab isti'āre mustarad
raah dikhlā hī na aa.eñ jo durust
kar diye jaa.eñ aise taare mustarad
aap se mujh ko milī hai daad ab
yā'nī pichhle she'r saare mustarad
kar ke sagar ne kinare mustarad
kar diye apne sahaare mustarad
sharm-gin nazron ne us ki kar diye
meri aankhon ke ishaare mustarad
aap ke aanchal mein saj kar ji uThe
the falak par jo sitare mustarad
us se mil kar phul shabnam chandni
ho gae sab isti'are mustarad
rah dikhla hi na aaen jo durust
kar diye jaen aise tare mustarad
aap se mujh ko mili hai dad ab
ya'ni pichhle she'r sare mustarad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.