kar ke sang-e-gham-e-hasti ke hawale mujhko
kar ke saƱg-e-Ä”ham-e-hastÄ« ke havÄle mujh ko
Ä.Ä«na kahtÄ hai ab dil meƱ chhupÄ le mujh ko
maiƱ na dariyÄ huuƱ na sÄhil na safÄ«na na bhaƱvar
dÄvar-e-Ä”ham kisÄ« sÄƱche meƱ to DhÄle mujh ko
ik tabassum ke evaz hech nahīƱ jins-e-vafÄ
haƱs ke jo baat kare apnÄ banÄ le mujh ko
itnÄ bharpÅ«r kahÄƱ thÄ mire Ä”ham kÄ iz.hÄr
ajnabī lagte haiƱ ab apne hī naale mujh ko
maiƱ vo gul huuƱ jo mahaktÄ hai sar-e-shÄįø³h-e-hayÄt
kyuuƱ koÄ« apne girebÄƱ meƱ sajÄ le mujh ko
jaane kis dasht ke kÄƱToƱ ne pukÄrÄ hai 'jalÄ«l'
liye jaate haiƱ kahīƱ paaƱv ke chhÄle mujh ko
kar ke sang-e-gham-e-hasti ke hawale mujh ko
aaina kahta hai ab dil mein chhupa le mujh ko
main na dariya hun na sahil na safina na bhanwar
dawar-e-gham kisi sanche mein to Dhaale mujh ko
ek tabassum ke ewaz hech nahin jins-e-wafa
hans ke jo baat kare apna bana le mujh ko
itna bharpur kahan tha mere gham ka izhaar
ajnabi lagte hain ab apne hi nale mujh ko
main wo gul hun jo mahakta hai sar-e-shaKH-e-hayat
kyun koi apne gireban mein saja le mujh ko
jaane kis dasht ke kanTon ne pukara hai 'jalil'
liye jate hain kahin panw ke chhaale mujh ko
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 187)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.