kar raha hai qiyam aankhon mein
kar rahā hai qiyām āñkhoñ meñ
ek chehra tamām āñkhoñ meñ
apnī āñkhoñ pe kuchh nazar rakhiye
log haiñ be-lagām āñkhoñ meñ
TuuTe ḳhvāboñ ki kirchiyoñ ke sivā
ḳhaas kyā hogā aam āñkhoñ meñ
din ke Dhalte hī aa gayā hai nazar
shaam kā intizām āñkhoñ meñ
bhar diyā hai na.ī baġhāvat ko
maiñ ne saarī ġhulām āñkhoñ meñ
paḌh rahā huuñ maiñ aaj bhī 'harshit'
us ke dil kā kalām āñkhoñ meñ
kar raha hai qiyam aankhon mein
ek chehra tamam aankhon mein
apni aankhon pe kuchh nazar rakhiye
log hain be-lagam aankhon mein
TuTe KHwabon ki kirchiyon ke siwa
KHas kya hoga aam aankhon mein
din ke Dhalte hi aa gaya hai nazar
sham ka intizam aankhon mein
bhar diya hai nai baghawat ko
main ne sari ghulam aankhon mein
paDh raha hun main aaj bhi 'harshit'
us ke dil ka kalam aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.