kar raha hai samna tir-e-nigah-e-naz ka
kar rahā hai sāmnā tīr-e-nigāh-e-nāz kā
allah allah ye kaleja āshiq-e-jāñbāz kā
qatl hī manzūr hai gar āshiq-e-jāñbāz kā
vaar ho jaa.e koī teġh-e-nigāh-e-nāz kā
dard se ho vāsta ai ham-nafas āvāz kā
soz agar hāsil nahīñ to lutf kyā phir saaz kā
har qadam par uThte haiñ fitne salāmī ke liye
kyā qayāmat-ḳhez hai aalam ḳhirām-e-nāz kā
fāsla jitnā hai farsh-o-arsh meñ vo kuchh nahīñ
hai ziyāda se ziyāda merī ik parvāz kā
hai jabīñ merī kisī ke āstān-e-pāk par
dekhtā huuñ aaj ye manzar niyāz-o-nāz kā
jaise mere dil meñ terā dhyān hai ai ham-nashīñ
hai mirī āvāz par dhokā tirī āvāz kā
kar diyā behosh mujh ko jalva-hā-e-nāz ne
is qadar ehsāñ hai mujh par jalva-gāh-e-nāz kā
kar rahe ho tum jise pāmāl vo dil ḳhair se
āshiq-e-jāñbāz kā hai āshiq-e-jāñbāz kā
jalva-pāshī kī to husn-e-roz-afzūñ ne kahā
zarra zarra hai munavvar jalva-gāh-e-nāz kā
ab to har shai meñ vahī jalva nazar aane lagā
merī āñkhoñ meñ hai jalva jis harīm-e-nāz kā
qabr par dekhā hujūm-e-āshiqāñ to ye kahā
ham miTā deñge mazār apne shahīd-e-nāz kā
tā.ir-e-dil ko uḌā lete haiñ paikān-e-nazar
hai ye ik adnā karishma mere tīr-andāz kā
dil se jab niklī shab-e-furqat to pahuñchī arsh par
thā mirī āh-e-rasā meñ zor kyā parvāz kā
hazrat-e-mūsā jo mil jaate kahīñ 'sābir' hameñ
pūchhte kuchh haal un se jalva-gāh-e-nāz kā
kar raha hai samna tir-e-nigah-e-naz ka
allah allah ye kaleja aashiq-e-jaanbaz ka
qatl hi manzur hai gar aashiq-e-jaanbaz ka
war ho jae koi tegh-e-nigah-e-naz ka
dard se ho wasta ai ham-nafas aawaz ka
soz agar hasil nahin to lutf kya phir saz ka
har qadam par uThte hain fitne salami ke liye
kya qayamat-KHez hai aalam KHiram-e-naz ka
fasla jitna hai farsh-o-arsh mein wo kuchh nahin
hai ziyaada se ziyaada meri ek parwaz ka
hai jabin meri kisi ke aastan-e-pak par
dekhta hun aaj ye manzar niyaz-o-naz ka
jaise mere dil mein tera dhyan hai ai ham-nashin
hai meri aawaz par dhoka teri aawaz ka
kar diya behosh mujh ko jalwa-ha-e-naz ne
is qadar ehsan hai mujh par jalwa-gah-e-naz ka
kar rahe ho tum jise pamal wo dil KHair se
aashiq-e-jaanbaz ka hai aashiq-e-jaanbaz ka
jalwa-pashi ki to husn-e-roz-afzun ne kaha
zarra zarra hai munawwar jalwa-gah-e-naz ka
ab to har shai mein wahi jalwa nazar aane laga
meri aankhon mein hai jalwa jis harim-e-naz ka
qabr par dekha hujum-e-ashiqan to ye kaha
hum miTa denge mazar apne shahid-e-naz ka
tair-e-dil ko uDa lete hain paikan-e-nazar
hai ye ek adna karishma mere tir-andaz ka
dil se jab nikli shab-e-furqat to pahunchi arsh par
tha meri aah-e-rasa mein zor kya parwaz ka
hazrat-e-musa jo mil jate kahin 'sabir' hamein
puchhte kuchh haal un se jalwa-gah-e-naz ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.