kar rahe hain mujhse tujh-bin dida-e-namnak jang
kar rahe haiñ mujh se tujh-bin dīda-e-namnāk jañg
dāġh-e-dil juuñ sham.a karte haiñ judā bebāk jañg
ishq par ġhālib rahā majnūñ vo tinke sā nahīf
ye vo jāgah hai ki sho.ale se kare ḳhāshāk jañg
na.iiñ dimāġh-e-hijr terā sham.a ke sho.ale kī tarah
khā ga.ī hai mujh ko gir kar mujh se apnī naak jañg
maiñ nahīñ shākī falak kā hijr ke ayyām meñ
mujh se juuñ sub.h apnī hī kartī hai jeb-e-chāk jañg
bādshāh-e-ishq ne mujh ko diye haiñ ye ḳhitāb
āfat-ul-mulk aur fanāuddaula 'uzlat'-ḳhāk-jañg
kar rahe hain mujh se tujh-bin dida-e-namnak jang
dagh-e-dil jun shama karte hain juda bebak jang
ishq par ghaalib raha majnun wo tinke sa nahif
ye wo jagah hai ki shoale se kare KHashak jang
nain dimagh-e-hijr tera shama ke shoale ki tarah
kha gai hai mujh ko gir kar mujh se apni nak jang
main nahin shaki falak ka hijr ke ayyam mein
mujh se jun subh apni hi karti hai jeb-e-chaak jang
baadshah-e-ishq ne mujh ko diye hain ye KHitab
aafat-ul-mulk aur fanauddaula 'uzlat'-KHak-jang
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.