kar rahe hain war mere yar mujh par
kar rahe haiñ vaar mere yaar mujh par
raham kar kuchh to kahānī-kār mujh par
iiñT maiñ us par girānā chāhtā thā
aur huā ye gir ga.ī dīvār mujh par
ḳhatm ho jaatī vahīñ par ye kahānī
tum uThā lete agar hathyār mujh par
tū to merā dost hai mat dekh mauqa
sāmne se hī chalā talvār mujh par
'ishq meñ achchhī nahīñ hotī ḳhamoshī
jaan kuchh to bol tā'ne maar mujh par
kyā zarūrat hai batā de dost ab to
āj-kal kyoñ aa rahā hai pyaar mujh par
naam hī merā 'vijay' hai dhyān rakhnā
suiT kartī hī nahīñ hai haar mujh par
kar rahe hain war mere yar mujh par
raham kar kuchh to kahani-kar mujh par
inT main us par girana chahta tha
aur hua ye gir gai diwar mujh par
KHatm ho jati wahin par ye kahani
tum uTha lete agar hathyar mujh par
tu to mera dost hai mat dekh mauqa
samne se hi chala talwar mujh par
'ishq mein achchhi nahin hoti KHamoshi
jaan kuchh to bol ta'ne mar mujh par
kya zarurat hai bata de dost ab to
aaj-kal kyon aa raha hai pyar mujh par
nam hi mera 'wijay' hai dhyan rakhna
suiT karti hi nahin hai haar mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.