kar sake dafn na us kuche mein ahbab mujhe
kar sake dafn na us kūche meñ ahbāb mujhe
ḳhaak meñ dil kī kudūrat ne diyā daab mujhe
hijr meñ paas na hai zahr na ḳhanjar afsos
na diye maut ke bhī charḳh ne asbāb mujhe
qāsid aayā hai vahāñ se to zarā tham ai hosh
baat to karne de us se dil-e-betāb mujhe
nām-e-taskīñ' pe ye mazmūn-e-tapish nā-zebā
thā taḳhallus jo sazā-vār to betāb mujhe
kar sake dafn na us kuche mein ahbab mujhe
KHak mein dil ki kudurat ne diya dab mujhe
hijr mein pas na hai zahr na KHanjar afsos
na diye maut ke bhi charKH ne asbab mujhe
qasid aaya hai wahan se to zara tham ai hosh
baat to karne de us se dil-e-betab mujhe
nam-e-taskin' pe ye mazmun-e-tapish na-zeba
tha taKHallus jo saza-war to betab mujhe
- Book : Noquush (Pg. B-393 E403)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.