karam bhi husn ke ban kar itab guzre hain
karam bhī husn ke ban kar itaab guzre haiñ
na pūchh ishq pe kitne azaab guzre haiñ
baḌe qarīb se dekhā hai maiñ ne aaj un ko
vo sāmne se mire be-hijāb guzre haiñ
nizām-e-ishq taġhayyur-pazīr ho na sakā
vagarna yuuñ to bahut inqalāb guzre haiñ
phisal ga.e haiñ jahāñ paañv ahl-e-dānish ke
vahāñ se ahl-e-junūñ kāmyāb guzre haiñ
sabhī ne shoḳhiyāñ baḳhshī haiñ kuchh taḳhayyul ko
mire qarīb se jitne shabāb guzre haiñ
tirī nigāh-e-taġhāful to ḳhuub vāqif hai
mirī hayāt meñ kitne sarāb guzre haiñ
ham ahl-e-dil tirī rusvā.iyoñ ke pesh-e-nazar
jidhar se guzre ba-sad ijtināb guzre haiñ
tumhāre rū-e-daraḳhshāñ kī jab bhī yaad aa.ī
mirī nazar se mah-o-āftāb guzre haiñ
faroġh-e-husn-e-bahārāñ to dekhiye 'nāsir'
chaman se sho.ala-o-gul be-naqāb guzre haiñ
karam bhi husn ke ban kar itab guzre hain
na puchh ishq pe kitne azab guzre hain
baDe qarib se dekha hai main ne aaj un ko
wo samne se mere be-hijab guzre hain
nizam-e-ishq taghayyur-pazir ho na saka
wagarna yun to bahut inqalab guzre hain
phisal gae hain jahan panw ahl-e-danish ke
wahan se ahl-e-junun kaamyab guzre hain
sabhi ne shoKHiyan baKHshi hain kuchh taKHayyul ko
mere qarib se jitne shabab guzre hain
teri nigah-e-taghaful to KHub waqif hai
meri hayat mein kitne sarab guzre hain
hum ahl-e-dil teri ruswaiyon ke pesh-e-nazar
jidhar se guzre ba-sad ijtinab guzre hain
tumhaare ru-e-daraKHshan ki jab bhi yaad aai
meri nazar se mah-o-aftab guzre hain
farogh-e-husn-e-bahaaran to dekhiye 'nasir'
chaman se shoala-o-gul be-naqab guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.