karam-farma teri yaadon ke lashkar TuT jate hain
karam-farmā tirī yādoñ ke lashkar TuuT jaate haiñ
nigāhoñ meñ jo rahte haiñ vo manzar TuuT jaate haiñ
ḳhushī ko bāñTne vaale bhī aksar TuuT jaate haiñ
hudūd-e-zabt se aage samundar TuuT jaate haiñ
agar ḳhāmosh rahte haiñ to dil par bojh rahtā hai
agar ham bolte haiñ kuchh to kah kar TuuT jaate haiñ
mohabbat ho to rishte aur bhī mazbūt ho jaa.eñ
koī bijlī gire dil par to phir ghar TuuT jaate haiñ
aqīdat jin se hotī hai unheñ puujā bhī jaatā hai
jinheñ nisbat nahīñ miltī vo patthar TuuT jaate haiñ
tirī qurbat meñ palte haiñ tirī chāhat meñ chalte haiñ
tirī furqat meñ ham dil ke barābar TuuT jaate haiñ
vafā meñ jiine vāloñ kī ajab hai dāstāñ 'anjum'
kahīñ vo Duub jaate haiñ kahīñ par TuuT jaate haiñ
karam-farma teri yaadon ke lashkar TuT jate hain
nigahon mein jo rahte hain wo manzar TuT jate hain
KHushi ko banTne wale bhi aksar TuT jate hain
hudud-e-zabt se aage samundar TuT jate hain
agar KHamosh rahte hain to dil par bojh rahta hai
agar hum bolte hain kuchh to kah kar TuT jate hain
mohabbat ho to rishte aur bhi mazbut ho jaen
koi bijli gire dil par to phir ghar TuT jate hain
aqidat jin se hoti hai unhen puja bhi jata hai
jinhen nisbat nahin milti wo patthar TuT jate hain
teri qurbat mein palte hain teri chahat mein chalte hain
teri furqat mein hum dil ke barabar TuT jate hain
wafa mein jine walon ki ajab hai dastan 'anjum'
kahin wo Dub jate hain kahin par TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.