karam ki bhi farawani bahut hai
karam kī bhī farāvānī bahut hai
du'ā merī bhī tūlānī bahut hai
ye dāman kis qadar bhīgā huā hai
gunāhoñ par pashemānī bahut hai
ḳhudā ke ḳhauf se larzīda dil hai
magar chehre pe tābānī bahut hai
ye mauqa' hai ġhanīmat jāniyegā
fazā is vaqt nūrānī bahut hai
nigāh-o-dil pareshāñ ho rahe haiñ
nigāh-o-dil meñ hairānī bahut hai
idhar pazhmurda dil pazhmurda-tar hai
udhar shauq-e-gul-afshānī bahut hai
abhī sailāb-e-ġham aayā huā hai
abhī siine meñ tuġhyānī bahut hai
karam ki bhi farawani bahut hai
du'a meri bhi tulani bahut hai
ye daman kis qadar bhiga hua hai
gunahon par pashemani bahut hai
KHuda ke KHauf se larzida dil hai
magar chehre pe tabani bahut hai
ye mauqa' hai ghanimat jaaniyega
faza is waqt nurani bahut hai
nigah-o-dil pareshan ho rahe hain
nigah-o-dil mein hairani bahut hai
idhar pazhmurda dil pazhmurda-tar hai
udhar shauq-e-gul-afshani bahut hai
abhi sailab-e-gham aaya hua hai
abhi sine mein tughyani bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.