karam kuchh is tarah se katib-e-taqdir karta hai
karam kuchh is tarah se kātib-e-taqdīr kartā hai
sazā dene meñ bandoñ ko sadā tāḳhīr kartā hai
ajab dīvāngī-e-shauq se tadbīr kartā hai
koī to hai musalsal jo mujhe ta.amīr kartā hai
pahuñchtī hai kahāñ āvāz un ūñche makānoñ meñ
koī mahrūmiyoñ ko nāla-e-shabgīr kartā hai
mujhe gumnām rahne hī nahīñ detā kisī sūrat
vo chārāgar mire zaḳhmoñ kī yuuñ tash.hīr kartā hai
amīr-e-vaqt kis manzil meñ pahuñchā hai junūñ terā
nidā-e-sub.h-e-nau ko halqa-e-zanjīr kartā hai
lagā do bandisheñ shahr-e-dil-ārā ke makīnoñ par
vahī bas ḳhvāb dekhe ḳhvāb jo ta.abīr kartā hai
ḳhabar bhī hai tujhe ai husn-e-be-parda sar-e-mahfil
tirī sūrat ko āñkhoñ meñ koī tasvīr kartā hai
ḳhatā kartā huuñ jaise maiñ koī lagtā hai yuuñ mujh ko
tujhe jab yaad rakhne meñ ye dil taqsīr kartā hai
suno ai hākim-e-daurāñ mo.arriḳh vaqt hai aisā
vo jo kuchh dekhtā hai bas vahī tahrīr kartā hai
diloñ par hukmrānī yūñhī 'ash.har' kī nahīñ qaa.em
mohabbat kī sabhī ke naam vo jāgīr kartā hai
karam kuchh is tarah se katib-e-taqdir karta hai
saza dene mein bandon ko sada taKHir karta hai
ajab diwangi-e-shauq se tadbir karta hai
koi to hai musalsal jo mujhe tamir karta hai
pahunchti hai kahan aawaz un unche makanon mein
koi mahrumiyon ko nala-e-shabgir karta hai
mujhe gumnam rahne hi nahin deta kisi surat
wo chaaragar mere zaKHmon ki yun tashhir karta hai
amir-e-waqt kis manzil mein pahuncha hai junun tera
nida-e-subh-e-nau ko halqa-e-zanjir karta hai
laga do bandishen shahr-e-dil-ara ke makinon par
wahi bas KHwab dekhe KHwab jo tabir karta hai
KHabar bhi hai tujhe ai husn-e-be-parda sar-e-mahfil
teri surat ko aankhon mein koi taswir karta hai
KHata karta hun jaise main koi lagta hai yun mujh ko
tujhe jab yaad rakhne mein ye dil taqsir karta hai
suno ai hakim-e-dauran moarriKH waqt hai aisa
wo jo kuchh dekhta hai bas wahi tahrir karta hai
dilon par hukmrani yunhi 'ashhar' ki nahin qaem
mohabbat ki sabhi ke nam wo jagir karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.