karb hai soz hai girani hai
karb hai soz hai girānī hai
hasb-e-mā'mūl zindagānī hai
din to kaaTā hai jaise taise abhī
raat se ḳhud-kushī haTānī hai
aable yuuñ nahīñ haiñ āñkhoñ meñ
ḳhuub sahrā kī ḳhaak chhānī hai
dost hote to sab ḳhabar rakhte
pūchhte kyā ho kyā kahānī hai
muskurāne pe choT lagtī hai
aur ye choT bhī chhupānī hai
apne maazī se duur jaane ko
haal se jang ham ne Thānī hai
karb hai soz hai girani hai
hasb-e-ma'mul zindagani hai
din to kaTa hai jaise taise abhi
raat se KHud-kushi haTani hai
aable yun nahin hain aankhon mein
KHub sahra ki KHak chhani hai
dost hote to sab KHabar rakhte
puchhte kya ho kya kahani hai
muskurane pe choT lagti hai
aur ye choT bhi chhupani hai
apne mazi se dur jaane ko
haal se jang hum ne Thani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.