karb ka samna khel to hai nahin kaunsa ishq is mein to sar jaenge
karb ka samna khel to hai nahin kaunsa ishq is mein to sar jaenge
Mohammad Tausif
MORE BYMohammad Tausif
karb kā sāmnā khel to hai nahīñ kaunsā ishq is meñ to sar jā.eñge
aap ko achchhe se jāntā huuñ miyāñ aap to baat karne se Dar jā.eñge
yuuñ zabūñ-hāl dekhā to hamdardī meñ gardish-e-daurāñ bhī ham-safar ho ga.ī
log Darte haiñ aisī balā se bahut aur ham haiñ ise le ke ghar jā.eñge
aise behis bhī maujūd haiñ ai ḳhudā sar-ba-sar jin meñ unsur nahīñ ḳhauf kā
ham burā sochte haiñ kisī kā agar to yaqīñ maan kuchh der mar jā.eñge
kuchh marātib maqāmāt kī had se bhī tai kiye jaate haiñ do jahāñ meñ naqīb
ab agar dekh rūh-ul-amīñ jaate haiñ aage sidra se to un ke par jā.eñge
vahshateñ yuuñ muqaddar huī haiñ ki ham baa'd tere to shorīda-sar ho ga.e
kaam tartīb meñ kar nahīñ paate ab karnā kuchh chāheñ kuchh aur kar jā.eñge
ye zarūrī nahīñ de do ḳhairāt meñ naan nafqa kisī māñgne vaale ko
tajraba hai mirā ba.az kashkol to sun ke 'alvī' dilāse hī bhar jā.eñge
karb ka samna khel to hai nahin kaunsa ishq is mein to sar jaenge
aap ko achchhe se jaanta hun miyan aap to baat karne se Dar jaenge
yun zabun-haal dekha to hamdardi mein gardish-e-dauran bhi ham-safar ho gai
log Darte hain aisi bala se bahut aur hum hain ise le ke ghar jaenge
aise behis bhi maujud hain ai KHuda sar-ba-sar jin mein unsur nahin KHauf ka
hum bura sochte hain kisi ka agar to yaqin man kuchh der mar jaenge
kuchh maraatib maqamat ki had se bhi tai kiye jate hain do jahan mein naqib
ab agar dekh ruh-ul-amin jate hain aage sidra se to un ke par jaenge
wahshaten yun muqaddar hui hain ki hum ba'd tere to shorida-sar ho gae
kaam tartib mein kar nahin pate ab karna kuchh chahen kuchh aur kar jaenge
ye zaruri nahin de do KHairaat mein nan nafqa kisi mangne wale ko
tajraba hai mera baz kashkol to sun ke 'alwi' dilase hi bhar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.