karb ka saman hai mere nam
karb kā samāñ hai mere naam
jaise ik jahāñ hai mere naam
tinke tinke āñdhiy.oñ kā zikr
koī āshiyāñ hai mere naam
chīḳhtī mashīneñ tere paas
shahr kā dhuāñ hai mere naam
har varaq pe zaḳhm kī tahrīr
saarī dāstāñ hai mere naam
raushnī kā lafz tere paas
dard kā bayāñ hai mere naam
karb ka saman hai mere nam
jaise ek jahan hai mere nam
tinke tinke aandhiyon ka zikr
koi aashiyan hai mere nam
chiKHti mashinen tere pas
shahr ka dhuan hai mere nam
har waraq pe zaKHm ki tahrir
sari dastan hai mere nam
raushni ka lafz tere pas
dard ka bayan hai mere nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.