karb ke sahra se guzra jab bhi diwana koi
karb ke sahrā se guzrā jab bhī dīvāna koī
muskurāyā shāḳh-e-nāzuk par chaman-ḳhāna koī
mausam-e-barsāt hai aur vajd meñ haiñ lāla-zār
dushmanoñ ke vaar se chhalkā hai paimāna koī
raat bhar rotī rahī be-sūd sham-e-ārzū
jab sar-e-mahfil chalā aayā hai parvāna koī
ajnabī bastī ke logoñ se zarā nazreñ milā
mil hī jā.egā yahāñ bhī jānā-pahchānā koī
ai dil-e-'mānī' yūñhī manzil kabhī miltī nahīñ
rāh-e-ulfat meñ diyā karte haiñ nazrāna koī
karb ke sahra se guzra jab bhi diwana koi
muskuraya shaKH-e-nazuk par chaman-KHana koi
mausam-e-barsat hai aur wajd mein hain lala-zar
dushmanon ke war se chhalka hai paimana koi
raat bhar roti rahi be-sud sham-e-arzu
jab sar-e-mahfil chala aaya hai parwana koi
ajnabi basti ke logon se zara nazren mila
mil hi jaega yahan bhi jaana-pahchana koi
ai dil-e-'mani' yunhi manzil kabhi milti nahin
rah-e-ulfat mein diya karte hain nazrana koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.