karb ke shahr se nikle to ye manzar dekha
karb ke shahr se nikle to ye manzar dekhā
ham ko logoñ ne bulāyā hameñ chhū kar dekhā
vo jo barsāt meñ bhīgā to nigāheñ uTThīñ
yuuñ lagā hai koī turshā huā patthar dekhā
koī saaya bhī na sahme hue ghar se niklā
ham ne TuuTī huī dahlīz ko aksar dekhā
soch kā peḌ javāñ ho ke banā aisā rafīq
zehn ke qad ne use apne barābar dekhā
jab bhī chāhā hai ki malbūs-e-vafā ko chhū leñ
misl-e-ḳhushbū koī uḌtā huā paikar dekhā
raqs karte hue lamhoñ kī zabāñ guñg huī
apne siine meñ jo utrā huā ḳhanjar dekhā
zindagī itnī pareshāñ hai ye sochā bhī na thā
us ke atrāf meñ sholoñ kā samundar dekhā
raat bhar ḳhauf se chaTḳhe the sahar kī ḳhātir
sub.h-dam ḳhud ko bikharte hue dar par dekhā
vo jo uḌtī hai sadā dast-e-vafā meñ 'afzal'
usī miTTī meñ nihāñ dard kā gauhar dekhā
karb ke shahr se nikle to ye manzar dekha
hum ko logon ne bulaya hamein chhu kar dekha
wo jo barsat mein bhiga to nigahen uTThin
yun laga hai koi tursha hua patthar dekha
koi saya bhi na sahme hue ghar se nikla
hum ne TuTi hui dahliz ko aksar dekha
soch ka peD jawan ho ke bana aisa rafiq
zehn ke qad ne use apne barabar dekha
jab bhi chaha hai ki malbus-e-wafa ko chhu len
misl-e-KHushbu koi uDta hua paikar dekha
raqs karte hue lamhon ki zaban gung hui
apne sine mein jo utra hua KHanjar dekha
zindagi itni pareshan hai ye socha bhi na tha
us ke atraf mein sholon ka samundar dekha
raat bhar KHauf se chaTKHe the sahar ki KHatir
subh-dam KHud ko bikharte hue dar par dekha
wo jo uDti hai sada dast-e-wafa mein 'afzal'
usi miTTi mein nihan dard ka gauhar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.