karb ki lazzaton ko DhunDenge
karb kī lazzatoñ ko DhūñDeñge
ham na.e mah-vashoñ ko DhūñDeñge
jo tire pyaar kā badal na baneñ
phir unhī hasratoñ ko DhūñDeñge
nīm-jāñ log chiyuñTiyoñ kī tarah
rizq ke maḳhzanoñ ko DhūñDeñge
shahr vaale to kab ke so bhī ga.e
kis liye qahqahoñ ko DhūñDeñge
be-sukūñ shaḳhs khojiyoñ kī tarah
apne apne gharoñ ko DhūñDeñge
Tahniyāñ koñpaloñ ko tarseñgī
peḌ taaza rutoñ ko DhūñDeñge
raat ke vaqt kitne sard mizāj
jism kī hiddatoñ ko DhūñDeñge
ab 'niyāz' apnī zard āñkhoñ meñ
ham ga.ī raunaqoñ ko DhūñDeñge
karb ki lazzaton ko DhunDenge
hum nae mah-washon ko DhunDenge
jo tere pyar ka badal na banen
phir unhi hasraton ko DhunDenge
nim-jaan log chiyunTiyon ki tarah
rizq ke maKHzanon ko DhunDenge
shahr wale to kab ke so bhi gae
kis liye qahqahon ko DhunDenge
be-sukun shaKHs khojiyon ki tarah
apne apne gharon ko DhunDenge
Tahniyan konpalon ko tarsengi
peD taza ruton ko DhunDenge
raat ke waqt kitne sard mizaj
jism ki hiddaton ko DhunDenge
ab 'niyaz' apni zard aankhon mein
hum gai raunaqon ko DhunDenge
- Book : Abr, Hawa aur Barish (Pg. 69)
- Author : Niyaz Hussain Lakhvira
- Publication : Mavaraa Publications (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.