karb kya hai tujhe batata hun
karb kyā hai tujhe batātā huuñ
dard bo kar maiñ ġham ugātā huuñ
ek dīdār ke liye un kī
dhuul āñkhoñ meñ Daal aatā huuñ
sher kahnā bahut hī mushkil hai
roz do paav ḳhuuñ jalātā huuñ
sirf kūza-garī kā māhir huuñ
sirf mūrat tirī banātā huuñ
ḳhuun niklegā terī āñkhoñ se
maiñ tujhe karbalā sunātā huuñ
hijr kahtā hai ḳhuun piinā hai
maas jabki use khilātā huuñ
ġhaur se sun adū 'sahar'-jī ke
din meñ taare tujhe dikhātā huuñ
karb kya hai tujhe batata hun
dard bo kar main gham ugata hun
ek didar ke liye un ki
dhul aankhon mein Dal aata hun
sher kahna bahut hi mushkil hai
roz do paw KHun jalata hun
sirf kuza-gari ka mahir hun
sirf murat teri banata hun
KHun niklega teri aankhon se
main tujhe karbala sunata hun
hijr kahta hai KHun pina hai
mas jabki use khilata hun
ghaur se sun adu 'sahar'-ji ke
din mein tare tujhe dikhata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.