karb mein pyar ke naghmat sunain kaise
karb meñ pyaar ke naġhmāt sunā.īñ kaise
ġham haqīqat se haqīqat ko chhupā.eñ kaise
lab-o-āriz ke taqāzoñ ko bhalā kar yaaro
duur aa pahuñche haiñ ab lauT ke jaa.eñ kaise
an-ginat jaam piye zillat-o-rusvā.ī ke
zindagī aur tire naaz uThā.eñ kaise
dil jo dukhtā hai 'ziyā' aañkh bhī bhar aatī hai
log fitrat ke taqāzoñ ko chhupā.eñ kaise
karb mein pyar ke naghmat sunain kaise
gham haqiqat se haqiqat ko chhupaen kaise
lab-o-ariz ke taqazon ko bhala kar yaro
dur aa pahunche hain ab lauT ke jaen kaise
an-ginat jam piye zillat-o-ruswai ke
zindagi aur tere naz uThaen kaise
dil jo dukhta hai 'ziya' aankh bhi bhar aati hai
log fitrat ke taqazon ko chhupaen kaise
- Book : Shab Charagh (Pg. 125)
- Author : Bakhtiyar Ziya
- Publication : Markaz-e-adab (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.