karega yaad hamein dur hum agar jaen
karegā yaad hameñ duur ham agar jaa.eñ
is ishtiyāq meñ jī chāhtā hai mar jaa.eñ
ye kah rahā thā hameñ Dūbtā huā sūraj
safar tamām huā apne apne ghar jaa.eñ
tulūa-e-shams kī kirnoñ ne ye payām diyā
ujāle bāñTte jaa.eñ jidhar jaa.eñ
dikhāte haiñ jo hameñ aa.ina kabhī us meñ
ḳhud apne aks ko dekheñ to aap Dar jaa.eñ
na paar lagne kī hasrat na Duub jaane kā ġham
ḳhayāl-e-yār ke dariyā meñ jab utar jaa.eñ
ye ghaav hī to mirī zindagī haiñ mere tabīb
ḳhayāl rakh ye mire zaḳhm hī na bhar jaa.eñ
karega yaad hamein dur hum agar jaen
is ishtiyaq mein ji chahta hai mar jaen
ye kah raha tha hamein Dubta hua suraj
safar tamam hua apne apne ghar jaen
tulua-e-shams ki kirnon ne ye payam diya
ujale banTte jaen jidhar jaen
dikhate hain jo hamein aaina kabhi us mein
KHud apne aks ko dekhen to aap Dar jaen
na par lagne ki hasrat na Dub jaane ka gham
KHayal-e-yar ke dariya mein jab utar jaen
ye ghaw hi to meri zindagi hain mere tabib
KHayal rakh ye mere zaKHm hi na bhar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.