karegi KHud-kushi aaKHir mohabbat
karegī ḳhud-kushī āḳhir mohabbat
anā se ab ga.ī hai ghir mohabbat
badan tak kā safar bhātā hai is ko
kuchh is had tak ga.ī hai gir mohabbat
jise chāhe usī ko pūjtī hai
hai kitnī dekh lo kāfir mohabbat
purāne zaḳhm bhī ab tak na.e haiñ
magar dil chāhtā hai phir mohabbat
kahīñ ham dostī bhī kho na baiTheñ
so karte hī nahīñ zāhir mohabbat
kisī ke vāste hai amritā to
kisī ke vāste sāhir mohabbat
karegi KHud-kushi aaKHir mohabbat
ana se ab gai hai ghir mohabbat
badan tak ka safar bhata hai is ko
kuchh is had tak gai hai gir mohabbat
jise chahe usi ko pujti hai
hai kitni dekh lo kafir mohabbat
purane zaKHm bhi ab tak nae hain
magar dil chahta hai phir mohabbat
kahin hum dosti bhi kho na baiThen
so karte hi nahin zahir mohabbat
kisi ke waste hai amrita to
kisi ke waste sahir mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.