karen kis par bharosa koi is qabil nahin milta
kareñ kis par bharosa koī is qābil nahīñ miltā
sabhī se haath milte haiñ kisī se dil nahīñ miltā
shikasta kashtiyoñ ko jis tarah sāhil nahīñ miltā
hamārī qaum ko bhī rahbar-e-kāmil nahīñ miltā
jo maazī ke añdhere chiir kar aage nahīñ baḌhte
zamāne meñ unheñ tābinda mustaqbil nahīñ miltā
ta'alluq kā nibhānā ham ko aatā hī nahīñ shāyad
kisī se ham nahīñ milte kisī se dil nahīñ miltā
haiñ pinhāñ shohrat-o-maqbūliyat bhī inkisārī meñ
ġhurūr-o-tamkanat se rutba-e-kāmil nahīñ miltā
ajab dastūr hai 'sāġhar' hamāre shahr kā dekho
yahāñ lāsheñ to miltī haiñ magar qātil nahīñ miltā
karen kis par bharosa koi is qabil nahin milta
sabhi se hath milte hain kisi se dil nahin milta
shikasta kashtiyon ko jis tarah sahil nahin milta
hamari qaum ko bhi rahbar-e-kaamil nahin milta
jo mazi ke andhere chir kar aage nahin baDhte
zamane mein unhen tabinda mustaqbil nahin milta
ta'alluq ka nibhana hum ko aata hi nahin shayad
kisi se hum nahin milte kisi se dil nahin milta
hain pinhan shohrat-o-maqbuliyat bhi inkisari mein
ghurur-o-tamkanat se rutba-e-kaamil nahin milta
ajab dastur hai 'saghar' hamare shahr ka dekho
yahan lashen to milti hain magar qatil nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.