karen phir un se tajdid-e-wafa kya
kareñ phir un se tajdīd-e-vafā kyā
miTā.eñ darmiyāñ kā fāslā kyā
agar vo mom hotā to pighaltā
vo patthar hai to patthar kā gila kyā
kisī ke kaam aanā zindagī hai
nahīñ to jiine se phir fā.eda kyā
ye kis ko dekh ke hairān ho tum
tumhāre rū-ba-rū hai aa.ina kyā
kahāñ 'ġhālib' kahāñ ‘imrān-sāġhar'
zamīñ kā āsmāñ se vāsta kyā
karen phir un se tajdid-e-wafa kya
miTaen darmiyan ka fasla kya
agar wo mom hota to pighalta
wo patthar hai to patthar ka gila kya
kisi ke kaam aana zindagi hai
nahin to jine se phir faeda kya
ye kis ko dekh ke hairan ho tum
tumhaare ru-ba-ru hai aaina kya
kahan 'ghaalib' kahan ‘imran-saghar'
zamin ka aasman se wasta kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.