karen un se shikayat aur gila kya
kareñ un se shikāyat aur gila kyā
unheñ ham ko satāne se milā kyā
hamāre qissa-e-ġham ko sunā kar
usī ġham se kisī kā dil jalā kyā
kyā badnām hai saare jahāñ meñ
tumheñ mil jā.egā is kā sila kyā
kabhī nazar-e-ināyat se na dekhā
sukūn-e-dil hameñ miltā bhalā kyā
sar-e-mahfil vo nazroñ kā bachānā
vo lamhe bhuul jā.eñge bhalā kyā
usī be-e'tinā.ī ne satāyā
jafā sah kar rahegā hausla kyā
hue bīmār ham bār-e-nazar se
kareñ iz.hār-e-ġham ab barmalā kyā
fazā.eñ kyoñ mo'attar ho rahī haiñ
jahān-e-zindagī meñ gul khilā kyā
karen un se shikayat aur gila kya
unhen hum ko satane se mila kya
hamare qissa-e-gham ko suna kar
usi gham se kisi ka dil jala kya
kya badnam hai sare jahan mein
tumhein mil jaega is ka sila kya
kabhi nazar-e-inayat se na dekha
sukun-e-dil hamein milta bhala kya
sar-e-mahfil wo nazron ka bachana
wo lamhe bhul jaenge bhala kya
usi be-e'tinai ne sataya
jafa sah kar rahega hausla kya
hue bimar hum bar-e-nazar se
karen izhaar-e-gham ab barmala kya
fazaen kyon mo'attar ho rahi hain
jahan-e-zindagi mein gul khila kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.