kari nigah-o-samaat ne bartari taslim
karī nigāh-o-samā.at ne bartarī taslīm
laboñ ke saath tirī baat bhī huī taslīm
ham aise log pas-e-jism saañs lete haiñ
hamārī maut bhī hotī hai zindagī taslīm
charāġh DhūñD ke laa.e koī to kah denā
hamārī aañkh añdhere ko kar chukī taslīm
tum ek bahr meñ joḌo duā ke saare hurūf
ki āsmān pe hotī hai shā.irī taslīm
atā kī qadr baḌhātī hai aur mahrūmī
so ek andhā bhī kartā hai raushnī taslīm
dayār-e-sher meñ parda bahut zarūrī hai
kahā sunā hai sabhī rad hai an-kahī taslīm
charāġh huuñ so mirā kaam sirf jalnā hai
koī kare na kare merī raushnī taslīm
abhī bhī koī ḳhalā hai 'aqīl' duniyā meñ
abhī bhī lagtā hai duniyā nahīñ huī taslīm
kari nigah-o-samaat ne bartari taslim
labon ke sath teri baat bhi hui taslim
hum aise log pas-e-jism sans lete hain
hamari maut bhi hoti hai zindagi taslim
charagh DhunD ke lae koi to kah dena
hamari aankh andhere ko kar chuki taslim
tum ek bahr mein joDo dua ke sare huruf
ki aasman pe hoti hai shairi taslim
ata ki qadr baDhati hai aur mahrumi
so ek andha bhi karta hai raushni taslim
dayar-e-sher mein parda bahut zaruri hai
kaha suna hai sabhi rad hai an-kahi taslim
charagh hun so mera kaam sirf jalna hai
koi kare na kare meri raushni taslim
abhi bhi koi KHala hai 'aqil' duniya mein
abhi bhi lagta hai duniya nahin hui taslim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.