karishma-saz-o-sarapa-bahaar hai ki nahin
karishma-sāz-o-sarāpā-bahār hai ki nahīñ
shabāb-o-husn-e-ġhazal bā-vaqār hai ki nahīñ
ḳhizāñ kā daur sahī ye batāo ahl-e-chaman
yaqīn-e-āmad-e-fasl-e-bahār hai ki nahīñ
bajā ki mai-kada vīrāñ hai masjideñ ābād
ra.īs-e-shahr bhī parhez-gār hai ki nahīñ
zabāñ ḳhatīb kī mazmūñ ra.īs-e-shahr kā hai
namāziyoñ pe ye raaz āshkār hai ki nahīñ
nigāh chāhiye tahlīl-o-tajziye ke liye
ḳhizāñ kā daur naved-e-bahār hai ki nahīñ
hamārā māzī-o-hāzir bhī ik muamma hai
bahār thī ki nahīñ thī bahār hai ki nahīñ
ġhazal to kahte haiñ sab ham magar ye dekhte haiñ
vo karb-e-asr kī ā.īna-dār hai ki nahīñ
hijāb māne-e-jalva sahī naved bhī hai
ḳhizāñ naqāb-e-nigār-e-bahār hai ki nahīñ
madār baḳhshish-o-pursish kā hai niyat pe 'na.īm'
umīd-e-rahmat-e-parvardigār hai ki nahīñ
karishma-saz-o-sarapa-bahaar hai ki nahin
shabab-o-husn-e-ghazal ba-waqar hai ki nahin
KHizan ka daur sahi ye batao ahl-e-chaman
yaqin-e-amad-e-fasl-e-bahaar hai ki nahin
baja ki mai-kada viran hai masjiden aabaad
rais-e-shahr bhi parhez-gar hai ki nahin
zaban KHatib ki mazmun rais-e-shahr ka hai
namaziyon pe ye raaz aashkar hai ki nahin
nigah chahiye tahlil-o-tajziye ke liye
KHizan ka daur nawed-e-bahaar hai ki nahin
hamara mazi-o-hazir bhi ek muamma hai
bahaar thi ki nahin thi bahaar hai ki nahin
ghazal to kahte hain sab hum magar ye dekhte hain
wo karb-e-asr ki aaina-dar hai ki nahin
hijab mane-e-jalwa sahi nawed bhi hai
KHizan naqab-e-nigar-e-bahaar hai ki nahin
madar baKHshish-o-pursish ka hai niyat pe 'naim'
umid-e-rahmat-e-parwardigar hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.