karna hai gar mujhe shikar la koi jal muKHtalif
karna hai gar mujhe shikar la koi jal muKHtalif
Basir Sultan Kazmi
MORE BYBasir Sultan Kazmi
karnā hai gar mujhe shikār lā koī jaal muḳhtalif
shātir hai tū agar to ab chal koī chaal muḳhtalif
tere ye saare sho.abde mere liye nahīñ na.e
kar ke dikhā kabhī mujhe koī kamāl muḳhtalif
lagte haiñ ye jo kāmyāb haiñ jaise aab par habāb
pesh-e-nigah unheñ na rakh DhūñD misāl muḳhtalif
jin ko milīñ bulandiyāñ dekhīñ unhoñ ne pastiyāñ
hotī hai har dafa magar vaj.h-e-zavāl muḳhtalif
tū ne kahī sunī-sunā.ī mujh se sunī-sunā.ī sun
chāhe agar na.e javāb pūchh savāl muḳhtalif
merī bahār aur ḳhizāñ mere lahū meñ hai nihāñ
mirrīḳh-o-arz se mire haiñ māh-o-sāl muḳhtalif
aisī chalī dam-e-sahar shaam talak kiyā nihāl
bād-e-sabā se thī bahut mauj-e-ḳhayāl muḳhtalif
karna hai gar mujhe shikar la koi jal muKHtalif
shatir hai tu agar to ab chal koi chaal muKHtalif
tere ye sare shoabde mere liye nahin nae
kar ke dikha kabhi mujhe koi kamal muKHtalif
lagte hain ye jo kaamyab hain jaise aab par habab
pesh-e-nigah unhen na rakh DhunD misal muKHtalif
jin ko milin bulandiyan dekhin unhon ne pastiyan
hoti hai har dafa magar wajh-e-zawal muKHtalif
tu ne kahi suni-sunai mujh se suni-sunai sun
chahe agar nae jawab puchh sawal muKHtalif
meri bahaar aur KHizan mere lahu mein hai nihan
mirriKH-o-arz se mere hain mah-o-sal muKHtalif
aisi chali dam-e-sahar sham talak kiya nihaal
baad-e-saba se thi bahut mauj-e-KHayal muKHtalif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.