karna hai zindagi jo qafas mein basar mujhe
karnā hai zindagī jo qafas meñ basar mujhe
phir kyuuñ na hoñ vabāl mire bāl-o-par mujhe
allāh re shauq-e-dīd jidhar dekhtā huuñ maiñ
juz husn dost kuchh nahīñ aatā nazar mujhe
hotā hai koī dam meñ charāġh-e-hayāt gul
shām-e-firāq kyā ho umīd-e-sahar mujhe
rāh-e-talab meñ dūrī-e-manzil kā ġham nahīñ
mā'lūm ho chukā hai ma.āl-e-safar mujhe
taqdīr ke likhe ko miTā duuñ jabīñ se maiñ
qismat se mil to jaa.e tirā sañg-e-dar mujhe
baiThā huā qafas meñ yahī sochtā huuñ maiñ
laa.ī chaman se kaun kashish khīñch kar mujhe
afsāna zindagī kā na pūchho ki 'ishq meñ
taknī paḌī hai rāh-e-ajal 'umr-bhar mujhe
barbādiyoñ kā apnī koī ġham nahīñ magar
pā.egī phir kahāñ ye tumhārī nazar mujhe
'sho.ala' ḳhayāl-e-dost se ġhāfil nahīñ huuñ maiñ
manzūr hai jo chāra-e-dard-e-jigar mujhe
karna hai zindagi jo qafas mein basar mujhe
phir kyun na hon wabaal mere baal-o-par mujhe
allah re shauq-e-did jidhar dekhta hun main
juz husn dost kuchh nahin aata nazar mujhe
hota hai koi dam mein charagh-e-hayat gul
sham-e-firaq kya ho umid-e-sahar mujhe
rah-e-talab mein duri-e-manzil ka gham nahin
ma'lum ho chuka hai maal-e-safar mujhe
taqdir ke likhe ko miTa dun jabin se main
qismat se mil to jae tera sang-e-dar mujhe
baiTha hua qafas mein yahi sochta hun main
lai chaman se kaun kashish khinch kar mujhe
afsana zindagi ka na puchho ki 'ishq mein
takni paDi hai rah-e-ajal 'umr-bhar mujhe
barbaadiyon ka apni koi gham nahin magar
paegi phir kahan ye tumhaari nazar mujhe
'shoala' KHayal-e-dost se ghafil nahin hun main
manzur hai jo chaara-e-dard-e-jigar mujhe
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 114)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.