karna na tha jo kaam ziyaada kiya gaya
karnā na thā jo kaam ziyāda kiyā gayā
jazbāt ko lagām ziyāda kiyā gayā
insān ke maqām pe rakkhā gayā hameñ
ya.anī hameñ ġhulām ziyāda kiyā gayā
pahle to koī kaam sire se huā nahīñ
phir us kā iḳhtitām ziyāda kiyā gayā
baaqī to Thīk-Thāk the hālāt shahr meñ
thoḌā sā qatl-e-ām ziyāda kiyā gayā
koshish ke bāvajūd kahīñ mil nahīñ sakī
jis shai kā ehtimām ziyāda kiyā gayā
thā jis ko aadmī se ḳhudā vāste kā bair
us ko yahāñ imaam ziyāda kiyā gayā
'nāmī' shumār hote haiñ phir ham ḳhavās meñ
ham ko agarche aam ziyāda kiyā gayā
karna na tha jo kaam ziyaada kiya gaya
jazbaat ko lagam ziyaada kiya gaya
insan ke maqam pe rakkha gaya hamein
yani hamein ghulam ziyaada kiya gaya
pahle to koi kaam sire se hua nahin
phir us ka iKHtitam ziyaada kiya gaya
baqi to Thik-Thak the haalat shahr mein
thoDa sa qatl-e-am ziyaada kiya gaya
koshish ke bawajud kahin mil nahin saki
jis shai ka ehtimam ziyaada kiya gaya
tha jis ko aadmi se KHuda waste ka bair
us ko yahan imam ziyaada kiya gaya
'nami' shumar hote hain phir hum KHawas mein
hum ko agarche aam ziyaada kiya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.