karne wale ne hi ki dekh inayat kaisi
karne vaale ne hī kī dekh ināyat kaisī
terā phir mujh se gila kaisā shikāyat kaisī
ab hameñ duur se pahchān liyā jaatā hai
ishq meñ ham bhī banā baiThe haiñ sūrat kaisī
kyoñ khaḌe muñh ko take jaate ho maiñ haarā huuñ
merā sar kaaT ke le jaao ijāzat kaisī
kitnī āsānī se maiñ khulne lagā huuñ sab par
ḳhud pareshāñ huuñ ki bigḌī hai ye aadat kaisī
āḳhirī vaqt meñ ye apnā patā detā hai
ishq hai ishq miyāñ is kī alāmat kaisī
to mohabbat meñ zarūrī thā hameñ har lamha
tujh se ab ishq hai so ishq meñ hājat kaisī
chain se jiine kahāñ dete tire baa'd hameñ
ham ne ḳhud hosh gañvā.e haiñ himāqat kaisī
roz-e-mahshar maiñ batā.ūñgā tū kyā pūchhegā
ek muhtāj pe guzrī hai qayāmat kaisī
karne wale ne hi ki dekh inayat kaisi
tera phir mujh se gila kaisa shikayat kaisi
ab hamein dur se pahchan liya jata hai
ishq mein hum bhi bana baiThe hain surat kaisi
kyon khaDe munh ko take jate ho main haara hun
mera sar kaT ke le jao ijazat kaisi
kitni aasani se main khulne laga hun sab par
KHud pareshan hun ki bigDi hai ye aadat kaisi
aaKHiri waqt mein ye apna pata deta hai
ishq hai ishq miyan is ki alamat kaisi
to mohabbat mein zaruri tha hamein har lamha
tujh se ab ishq hai so ishq mein hajat kaisi
chain se jine kahan dete tere ba'd hamein
hum ne KHud hosh ganwae hain himaqat kaisi
roz-e-mahshar main bataunga tu kya puchhega
ek muhtaj pe guzri hai qayamat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.