karni hai rah-e-zist jo hamwar dosto
karnī hai rāh-e-zīst jo hamvār dosto
kyuuñ DhūñDte ho sāya-e-dīvār dosto
arzāñ kuchh itnī ho ga.ī jins-e-vafā ki ab
miltā nahīñ hai koī ḳharīdār dosto
muddat huī matā-e-dil-o-jāñ luTe hue
ab bhī vahī hai garmī-e-bāzār dosto
ḳhūn-e-jigar se likhte chalo naqsh-e-pā ke saath
kyā kah rahī hai vaqt kī raftār dosto
'nashtar' batā.e hāl-e-chaman kyā ki in dinoñ
har zaḳhm-e-dil hai hāsil-e-gulzār dosto
karni hai rah-e-zist jo hamwar dosto
kyun DhunDte ho saya-e-diwar dosto
arzan kuchh itni ho gai jins-e-wafa ki ab
milta nahin hai koi KHaridar dosto
muddat hui mata-e-dil-o-jaan luTe hue
ab bhi wahi hai garmi-e-bazar dosto
KHun-e-jigar se likhte chalo naqsh-e-pa ke sath
kya kah rahi hai waqt ki raftar dosto
'nashtar' batae haal-e-chaman kya ki in dinon
har zaKHm-e-dil hai hasil-e-gulzar dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.