karni paDegi jism se pahchan jaan kar
karnī paḌegī jism se pahchān jaan kar
tū kyā karegī mujh ko mirī jaan jaan kar
vo dekhtā hai yuuñ mirī ārā.ish-e-badan
kartā huuñ chaak ḳhud ko garebān jaan kar
allah miyāñ ke saath thā mullāoñ kā hujūm
lā-haul paḌh diyā unheñ shaitān jaan kar
dariyā ne paar utaar dī kashtī mirī magar
mujh ko Dubo diyā mirā sāmān jaan kar
tauhīd par jo zor diyā ham ne 'ishq meñ
but Dar ke bhāge ham ko musalmān jaan kar
karni paDegi jism se pahchan jaan kar
tu kya karegi mujh ko meri jaan jaan kar
wo dekhta hai yun meri aaraish-e-badan
karta hun chaak KHud ko gareban jaan kar
allah miyan ke sath tha mullaon ka hujum
la-haul paDh diya unhen shaitan jaan kar
dariya ne par utar di kashti meri magar
mujh ko Dubo diya mera saman jaan kar
tauhid par jo zor diya hum ne 'ishq mein
but Dar ke bhage hum ko musalman jaan kar
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 51)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.