karo ab KHatm ye qissa na tu meri na main tera
karo ab ḳhatm ye qissa na tū merī na maiñ terā
haTāo roz kā jhagḌā na tū merī na maiñ terā
ye duniyā Thiik kahtī hai mohabbat āfat-e-jāñ hai
to bas ab faisla pakkā na tū merī na maiñ terā
ye achchhā pyaar hai dushnām hai ta.ane haiñ shikve haiñ
arī zālim maiñ baaz aayā na tū merī na maiñ terā
ye chaḳh chaḳh roz kī apnī isī sūrat meñ chūTegī
na rakkheñ koī bhī rishta na tū merī na maiñ terā
alag se maiñ huā rusvā na kī tū ne koī parvā
yahī qismat meñ likkhā thā na tū merī na maiñ terā
bil-āḳhir tang aa kar kah diyā aaj us se 'gīlānī'
tujhe chāhā maiñ pāgal thā na tū merī na maiñ terā
karo ab KHatm ye qissa na tu meri na main tera
haTao roz ka jhagDa na tu meri na main tera
ye duniya Thik kahti hai mohabbat aafat-e-jaan hai
to bas ab faisla pakka na tu meri na main tera
ye achchha pyar hai dushnam hai tane hain shikwe hain
ari zalim main baz aaya na tu meri na main tera
ye chaKH chaKH roz ki apni isi surat mein chuTegi
na rakkhen koi bhi rishta na tu meri na main tera
alag se main hua ruswa na ki tu ne koi parwa
yahi qismat mein likkha tha na tu meri na main tera
bil-aKHir tang aa kar kah diya aaj us se 'gilani'
tujhe chaha main pagal tha na tu meri na main tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.