karo bhi baat na mujhse udas logon ki
karo bhī baat na mujh se udaas logoñ kī
mujhe Darātī hai āñkhoñ meñ yaas logoñ kī
kisī ke lahje kī talḳhī kisī kī sard nazar
hai jam.a dil meñ mire ye asaas logoñ kī
chalā na ḳhāroñ pe kuchh bas to gul masal Daale
nikal rahī hai ab aise bhaḌās logoñ kī
mire janāze ko bas chaar log kaafī haiñ
kisī ko hogī zarūrat pachās logoñ kī
nazar haTī hī nahīñ apne aks se un kī
ajiib baat hai ye ḳhush-libās logoñ kī
nikal hī aatā hai ho kar ġhurūb phir sūraj
tabhī to mar nahīñ paatī hai aas logoñ kī
samajh meñ aa ga.ī duniyā bhī zindagī bhī 'hinā'
nigāh jab se milī ġham-shanās logoñ kī
karo bhi baat na mujh se udas logon ki
mujhe Daraati hai aankhon mein yas logon ki
kisi ke lahje ki talKHi kisi ki sard nazar
hai jama dil mein mere ye asas logon ki
chala na KHaron pe kuchh bas to gul masal Dale
nikal rahi hai ab aise bhaDas logon ki
mere janaze ko bas chaar log kafi hain
kisi ko hogi zarurat pachas logon ki
nazar haTi hi nahin apne aks se un ki
ajib baat hai ye KHush-libas logon ki
nikal hi aata hai ho kar ghurub phir suraj
tabhi to mar nahin pati hai aas logon ki
samajh mein aa gai duniya bhi zindagi bhi 'hina'
nigah jab se mili gham-shanas logon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.