karta hai mujhse roz tu takrar shukriya
kartā hai mujh se roz tū takrār shukriya
is meñ mahak rahā hai tirā pyaar shukriya
jaise luTā rahā hai vo mujh par mohabbateñ
kartī huuñ dil se us kā maiñ sau baar shukriya
us kī mohabbatoñ pe luTā duuñ ye zindagī
jis ne diyā hai mujh ko ye sansār shukriya
hāzir hai merī jaan bhī murshid tire liye
tū ne kiye haiñ svapn ye sākār shukriya
mujh ko to shā'irī kā nahīñ thā koī shu'ūr
ab pā liyā maqām ye sarkār shukriya
karta hai mujh se roz tu takrar shukriya
is mein mahak raha hai tera pyar shukriya
jaise luTa raha hai wo mujh par mohabbaten
karti hun dil se us ka main sau bar shukriya
us ki mohabbaton pe luTa dun ye zindagi
jis ne diya hai mujh ko ye sansar shukriya
hazir hai meri jaan bhi murshid tere liye
tu ne kiye hain swapn ye sakar shukriya
mujh ko to sha'iri ka nahin tha koi shu'ur
ab pa liya maqam ye sarkar shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.