karta hai qatl-e-am wo aghyar ke liye
kartā hai qatl-e-ām vo aġhyār ke liye
das biis roz marte haiñ do-chār ke liye
dekhā azāb-e-ranj dil-e-zār ke liye
'āshiq hue haiñ vo mire āzār ke liye
dil ishq terī nazr kiyā jaan kyūñki duuñ
rakkhā hai us ko hasrat-e-dīdār ke liye
qatl us ne jurm-e-sabr-e-jafā par kiyā mujhe
ye hī sazā thī aise gunahgār ke liye
le tū hī bhej de koī paiġhām-e-talḳh ab
tajvīz zahr hai tire bīmār ke liye
aatā nahīñ hai tū to nishānī hī bhej de
taskīn-e-iztirāb-e-dil-e-zār ke liye
kyā dil diyā thā is liye maiñ ne tumheñ ki tum
ho jaao yuuñ 'adū mire aġhyār ke liye
chalnā to dekhnā ki qayāmat ne bhī qadam
tarz-e-ḳhirām o shoḳhī-e-raftār ke liye
jī meñ hai motiyoñ kī laḌī us ko bhej duuñ
iz.hār-e-hāl-e-chashm-e-guhar-bār ke liye
detā huuñ apne lab ko bhī gul-barg se misāl
bose jo ḳhvāb meñ tire ruḳhsār ke liye
jiinā umīd-e-vasl pe hijrāñ meñ sahl thā
martā huuñ zindagānī-e-dushvār ke liye
'momin' ko to na laa.e kahīñ daam meñ vo but
DhūñDe hai tār-e-sub.ha ke zunnār ke liye
karta hai qatl-e-am wo aghyar ke liye
das bis roz marte hain do-chaar ke liye
dekha azab-e-ranj dil-e-zar ke liye
'ashiq hue hain wo mere aazar ke liye
dil ishq teri nazr kiya jaan kyunki dun
rakkha hai us ko hasrat-e-didar ke liye
qatl us ne jurm-e-sabr-e-jafa par kiya mujhe
ye hi saza thi aise gunahgar ke liye
le tu hi bhej de koi paigham-e-talKH ab
tajwiz zahr hai tere bimar ke liye
aata nahin hai tu to nishani hi bhej de
taskin-e-iztirab-e-dil-e-zar ke liye
kya dil diya tha is liye main ne tumhein ki tum
ho jao yun 'adu mere aghyar ke liye
chalna to dekhna ki qayamat ne bhi qadam
tarz-e-KHiram o shoKHi-e-raftar ke liye
ji mein hai motiyon ki laDi us ko bhej dun
izhaar-e-haal-e-chashm-e-guhar-bar ke liye
deta hun apne lab ko bhi gul-barg se misal
bose jo KHwab mein tere ruKHsar ke liye
jina umid-e-wasl pe hijran mein sahl tha
marta hun zindagani-e-dushwar ke liye
'momin' ko to na lae kahin dam mein wo but
DhunDe hai tar-e-subha ke zunnar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.