karta hai rahm kaun kisi be-gunah par
kartā hai rahm kaun kisī be-gunāh par
paḌte haiñ tāziyāne yahāñ dād-ḳhvāh par
shikva hai bevafā.ī-e-jānāñ kā is qadar
ham mar chale hanūz na aa.e vo raah par
dil ḳhud huā asiir zanaḳhdān-e-yār meñ
laatī hai tishnagī hī pyāse ko chaah par
shabnam ko mahv kartā hai jis tarah āftāb
yā-rab nigāh-e-mehr ho mere gunāh par
āshiq pe rahm kar shah-e-ḳhūbāñ agar hai tū
vājib hai shafqat-e-ġhorabā bādshāh par
vo chehra-e-kitābī hai zulf-e-dotā meñ yuuñ
mus.haf ko jaise rakhte haiñ dast-e-gavāh par
karta hai rahm kaun kisi be-gunah par
paDte hain taziyane yahan dad-KHwah par
shikwa hai bewafai-e-jaanan ka is qadar
hum mar chale hanuz na aae wo rah par
dil KHud hua asir zanaKHdan-e-yar mein
lati hai tishnagi hi pyase ko chah par
shabnam ko mahw karta hai jis tarah aaftab
ya-rab nigah-e-mehr ho mere gunah par
aashiq pe rahm kar shah-e-KHuban agar hai tu
wajib hai shafqat-e-ghoraba baadshah par
wo chehra-e-kitabi hai zulf-e-dota mein yun
mushaf ko jaise rakhte hain dast-e-gawah par
- Book : Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.