karta hun bin tere yunhi aksar guzar-basar
kartā huuñ bin tire yūñhī aksar guzar-basar
jaise kisī ġharīb kī be-zar guzar-basar
duniyā kā har ta'ām mayassar hai chand ko
aur baa'z kī hai nān-e-javīñ par guzar-basar
pahle jo qais ke liye uThte the āj-kal
un pattharoñ kī hai mire sar par guzar-basar
lagtā hai phir qarīb haiñ fāqoñ ke roz-o-shab
hotī hai chand roz se behtar guzar-basar
ik shaḳhs aisā chāhiye mujh ko bhī in dinoñ
jis ke binā na ho sake pal-bhar guzar-basar
har dil sanam-kada hai yahāñ par 'qamar-malāl'
karte ho tum hī ek ḳhudā par guzar-basar
karta hun bin tere yunhi aksar guzar-basar
jaise kisi gharib ki be-zar guzar-basar
duniya ka har ta'am mayassar hai chand ko
aur ba'z ki hai nan-e-jawin par guzar-basar
pahle jo qais ke liye uThte the aaj-kal
un pattharon ki hai mere sar par guzar-basar
lagta hai phir qarib hain faqon ke roz-o-shab
hoti hai chand roz se behtar guzar-basar
ek shaKHs aisa chahiye mujh ko bhi in dinon
jis ke bina na ho sake pal-bhar guzar-basar
har dil sanam-kada hai yahan par 'qamar-malal'
karte ho tum hi ek KHuda par guzar-basar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.