karta nahin koi bhi siyasat mera qalam
kartā nahīñ koī bhī siyāsat mirā qalam
likhtā hai harf harf sadāqat mirā qalam
zālim agarche hogā mirā bhī koī 'azīz
is se bhī phir karegā baġhāvat mirā qalam
sun kar ki us ke baare meñ likhnā hai aaj phir
mahsūs kar rahā hai masarrat mirā qalam
tum ye samajh rahe ho banā.egā sirf phuul
uglegā aag vaqt-e-zarūrat mirā qalam
rusvā kahīñ bhī hone nahīñ detā hai mujhe
kartā hai mujh se aisī mohabbat mirā qalam
saudā jahāñ pe karnā paḌegā zamīr kā
Thokar pe maar degā vo daulat mirā qalam
apnā ho chāhe ġhair ho koī ho 'soniyā'
detā nahīñ kisī ko ri'āyat mirā qalam
karta nahin koi bhi siyasat mera qalam
likhta hai harf harf sadaqat mera qalam
zalim agarche hoga mera bhi koi 'aziz
is se bhi phir karega baghawat mera qalam
sun kar ki us ke bare mein likhna hai aaj phir
mahsus kar raha hai masarrat mera qalam
tum ye samajh rahe ho banaega sirf phul
uglega aag waqt-e-zarurat mera qalam
ruswa kahin bhi hone nahin deta hai mujhe
karta hai mujh se aisi mohabbat mera qalam
sauda jahan pe karna paDega zamir ka
Thokar pe mar dega wo daulat mera qalam
apna ho chahe ghair ho koi ho 'soniya'
deta nahin kisi ko ri'ayat mera qalam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.