karta tha apne husn pe kya kya qayas chand
karta tha apne husn pe kya kya qayas chand
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
kartā thā apne husn pe kyā kyā qayās chāñd
Thahrā huā hai chhat pe tirī bad-havās chāñd
ye kis hasīñ kā chehra-e-zartāb bujh gayā
pahle kabhī to itnā nahīñ thā udaas chāñd
hoñToñ kī kashtiyoñ meñ badan paar ho ga.e
dariyā ko dekhtā hī rahā be-libās chāñd
tā'bīr koī ḳhvāb kī laao ki us ke paas
kartā thā jī-huzūrī ba-sad-iltimās chāñd
saarī fazā meñ 'mīr' kī vahshat sī chhā.ī hai
phirtā hai us ke ghar ke bahut ās-pās chāñd
'anjum' usī ne apnā muqaddar banā diyā
ham ko milā thā ek sitāra-shanās chāñd
karta tha apne husn pe kya kya qayas chand
Thahra hua hai chhat pe teri bad-hawas chand
ye kis hasin ka chehra-e-zartab bujh gaya
pahle kabhi to itna nahin tha udas chand
honTon ki kashtiyon mein badan par ho gae
dariya ko dekhta hi raha be-libas chand
ta'bir koi KHwab ki lao ki us ke pas
karta tha ji-huzuri ba-sad-iltimas chand
sari faza mein 'mir' ki wahshat si chhai hai
phirta hai us ke ghar ke bahut aas-pas chand
'anjum' usi ne apna muqaddar bana diya
hum ko mila tha ek sitara-shanas chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.