karte hain agar mujhse wo pyar to aa jaen
karte haiñ agar mujh se vo pyaar to aa jaa.eñ
phir aa ke chale jaa.eñ ik baar to aa jaa.eñ
hai vaqt ye ruḳhsat kā baḳhshish kā talāfī kā
samjheñ na jo gar us ko bekār to aa jaa.eñ
ik diid kī ḳhvāhish pe aTkā hai ye dam merā
kam karnā ho merā kuchh āzār to aa jaa.eñ
jaañ dene ko raazī huuñ ai paik-e-ajal lekin
kuchh der to ruk jaao sarkār to aa jaa.eñ
jaa.eñ na 'ḳhalish' le kar ham sū-e-adam hasrat
maqsūd ho un ko bhī dīdār to aa jaa.eñ
karte hain agar mujh se wo pyar to aa jaen
phir aa ke chale jaen ek bar to aa jaen
hai waqt ye ruKHsat ka baKHshish ka talafi ka
samjhen na jo gar us ko bekar to aa jaen
ek did ki KHwahish pe aTka hai ye dam mera
kam karna ho mera kuchh aazar to aa jaen
jaan dene ko raazi hun ai paik-e-ajal lekin
kuchh der to ruk jao sarkar to aa jaen
jaen na 'KHalish' le kar hum su-e-adam hasrat
maqsud ho un ko bhi didar to aa jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.