karte hain sitam roz wo marne nahin dete
karte haiñ sitam roz vo marne nahīñ dete
vo mere kisī zaḳhm ko bharne nahīñ dete
ye soch ke dil meñ nahīñ kiina ko jagah dī
nafrat ke sabab dil ko sañvarne nahīñ dete
chehroñ pe banāvaT kā liye phirte haiñ ġhāza
bas zaat ko apnī ye nikharne nahīñ dete
hālāt sudhar jaa.eñ mire kartī huuñ koshish
qismat ke sitāre hī sudharne nahīñ dete
zālim haiñ zamāne ke sabhī log 'rishā' jī
ye haq kī taraf-dārī bhī karne nahīñ dete
karte hain sitam roz wo marne nahin dete
wo mere kisi zaKHm ko bharne nahin dete
ye soch ke dil mein nahin kina ko jagah di
nafrat ke sabab dil ko sanwarne nahin dete
chehron pe banawaT ka liye phirte hain ghaza
bas zat ko apni ye nikharne nahin dete
haalat sudhar jaen mere karti hun koshish
qismat ke sitare hi sudharne nahin dete
zalim hain zamane ke sabhi log 'risha' ji
ye haq ki taraf-dari bhi karne nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.