karte hue tawaf-e-KHayalat-e-yar main
karte hue tavāf-e-ḳhayālāt-e-yār maiñ
phir aa gayā huuñ zabt kī duniyā ke paar maiñ
duniyā ko dikh rahī hai to zinda-dilī mirī
patthar pe sar paTaktā huā ābshār maiñ
chālākiyāñ dharī kī dharī rah ga.iiñ mirī
ḳhuub us ke aage ho rahā thā hoshiyār maiñ
yuuñ to zarā sī baat hai par baat hai baḌī
tū merā ġham-gusār tirā ġham-gusār maiñ
kal thā jo aaj bhī vahī 'tarkash-pardīp' huuñ
dillī meñ aa ke bhī nahīñ badla gañvār maiñ
karte hue tawaf-e-KHayalat-e-yar main
phir aa gaya hun zabt ki duniya ke par main
duniya ko dikh rahi hai to zinda-dili meri
patthar pe sar paTakta hua aabshaar main
chaalakiyan dhari ki dhari rah gain meri
KHub us ke aage ho raha tha hoshiyar main
yun to zara si baat hai par baat hai baDi
tu mera gham-gusar tera gham-gusar main
kal tha jo aaj bhi wahi 'tarkash-pardip' hun
dilli mein aa ke bhi nahin badla ganwar main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.