karte na hum jo ahl-e-watan apna ghar KHarab
karte na ham jo ahl-e-vatan apnā ghar ḳharāb
hote na yuuñ hamāre javāñ dar-ba-dar ḳharāb
a.amāl ko parakhtī hai duniyā ma.aal se
achchhā na ho samar to hai goyā shajar ḳharāb
ik baar jo utar gayā paTrī se dosto
dekhā yahī ki phir vo huā umr bhar ḳharāb
manzil to ik taraf rahī itnā zarūr hai
ik dūsre kā ham ne kiyā hai safar ḳharāb
hotī nahīñ vo puurī tarah phir kabhī bhī Thiik
ho jaa.e ek baar koī chiiz gar ḳharāb
ai dil mujhe patā hai ki laayā hai tū kahāñ
chal ḳhud bhī ab ḳharāb ho mujh ko bhī kar ḳharāb
is kārobār-e-ishq meñ aisī hai kyā kashish
pahle pidar ḳharāb huā phir pisar ḳharāb
ik din bhī āshiyāñ meñ na guzrā sukūn se
karte rahe haiñ mujh ko mire bāl-o-par ḳharāb
rah rah ke shab aatī hai ustād kī ye baat
kartī hai ārzū-e-kamāl-e-hunar ḳharāb
is tīra-ḳhāk-dāñ ke liye kyā bilā sabab
sadiyoñ se ho rahe haiñ ye shams-o-qamar ḳharāb
lagtā hai in ko zañg kisī aur rañg kā
kis ne kahā ki hote nahīñ sīm-o-zar ḳharāb
ik qadr-dāñ milā to ye sochā ki aaj tak
hote rahe kahāñ mire la.al-o-gohar ḳharāb
ḳhāmosh aur udaas ho 'bāsir' jo sub.h se
aa.ī hai aaj phir koī ghar se ḳhabar ḳharāb
karte na hum jo ahl-e-watan apna ghar KHarab
hote na yun hamare jawan dar-ba-dar KHarab
aamal ko parakhti hai duniya maal se
achchha na ho samar to hai goya shajar KHarab
ek bar jo utar gaya paTri se dosto
dekha yahi ki phir wo hua umr bhar KHarab
manzil to ek taraf rahi itna zarur hai
ek dusre ka hum ne kiya hai safar KHarab
hoti nahin wo puri tarah phir kabhi bhi Thik
ho jae ek bar koi chiz gar KHarab
ai dil mujhe pata hai ki laya hai tu kahan
chal KHud bhi ab KHarab ho mujh ko bhi kar KHarab
is karobar-e-ishq mein aisi hai kya kashish
pahle pidar KHarab hua phir pisar KHarab
ek din bhi aashiyan mein na guzra sukun se
karte rahe hain mujh ko mere baal-o-par KHarab
rah rah ke shab aati hai ustad ki ye baat
karti hai aarzu-e-kamal-e-hunar KHarab
is tira-KHak-dan ke liye kya bila sabab
sadiyon se ho rahe hain ye shams-o-qamar KHarab
lagta hai in ko zang kisi aur rang ka
kis ne kaha ki hote nahin sim-o-zar KHarab
ek qadr-dan mila to ye socha ki aaj tak
hote rahe kahan mere lal-o-gohar KHarab
KHamosh aur udas ho 'basir' jo subh se
aai hai aaj phir koi ghar se KHabar KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.