karte rahe kar sakte the hum jitni bhi koshish
karte rahe kar sakte the ham jitnī bhī koshish
dīvār-e-ta.assub meñ kahāñ honī thī jumbish
zindāñ kī salāḳhoñ sī haiñ paanī kī ye tāreñ
sayyād se kuchh kam nahīñ har-vaqt kī bārish
lāzim nahīñ paidal chalūñ yā dauḌ lagā.ūñ
haiñ ghar ke mire kaam hī achchhī-bhalī varzish
maanā ki ilaaj is ke sivā kuchh nahīñ lekin
kyā dil ke badalne se badal jā.egī ḳhvāhish
kotāhiyāñ apnī to dikhā.ī nahīñ detīñ
har baat meñ aatī hai nazar ġhair kī sāzish
kuchh sañg-e-garāñ-māya hameñ bhī mile 'bāsir'
sach hai ki akārat nahīñ jaatī koī kāvish
karte rahe kar sakte the hum jitni bhi koshish
diwar-e-tassub mein kahan honi thi jumbish
zindan ki salaKHon si hain pani ki ye taren
sayyaad se kuchh kam nahin har-waqt ki barish
lazim nahin paidal chalun ya dauD lagaun
hain ghar ke mere kaam hi achchhi-bhali warzish
mana ki ilaj is ke siwa kuchh nahin lekin
kya dil ke badalne se badal jaegi KHwahish
kotahiyan apni to dikhai nahin detin
har baat mein aati hai nazar ghair ki sazish
kuchh sang-e-garan-maya hamein bhi mile 'basir'
sach hai ki akarat nahin jati koi kawish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.