karun tujhse bewafai ye kabhi rawa nahin tha
karūñ tujh se bevafā.ī ye kabhī ravā nahīñ thā
use bevafā na kahnā ki vo bevafā nahīñ thā
ye kisī kī sāzisheñ thiiñ yā thī marzī-e-zamāna
mirā tujh se duur honā mirā faisla nahīñ thā
kahīñ duur aa ga.ī thī maiñ hudūd-e-zindagī se
mire paas vāpsī kā koī rāsta nahīñ thā
mire hālat-e-zubūñ se thā har ek shaḳhs vāqif
maiñ ye kaise maan jā.ūñ ki tujhe patā nahīñ thā
rahī saath zindagī ke maiñ kuchh aise zindagī bhar
mirā zindagī se jaise koī vāsta nahīñ thā
rahe dil pe ai zamāne tirā zor-o-jabr kab tak
kyā faqat tirā ḳhudā thā kyā mirā ḳhudā nahīñ thā
use bhūlne kī 'ḳhanda' kī hazār baar koshish
use bhūlne kā lekin mujhe hausla nahīñ thā
karun tujh se bewafai ye kabhi rawa nahin tha
use bewafa na kahna ki wo bewafa nahin tha
ye kisi ki sazishen thin ya thi marzi-e-zamana
mera tujh se dur hona mera faisla nahin tha
kahin dur aa gai thi main hudud-e-zindagi se
mere pas wapsi ka koi rasta nahin tha
mere haalat-e-zubun se tha har ek shaKHs waqif
main ye kaise man jaun ki tujhe pata nahin tha
rahi sath zindagi ke main kuchh aise zindagi bhar
mera zindagi se jaise koi wasta nahin tha
rahe dil pe ai zamane tera zor-o-jabr kab tak
kya faqat tera KHuda tha kya mera KHuda nahin tha
use bhulne ki 'KHanda' ki hazar bar koshish
use bhulne ka lekin mujhe hausla nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.