karunga hasb-e-zarurat nahin karunga main
karūñgā hasb-e-zarūrat nahīñ karūñgā maiñ
havā ke haath pe bai'at nahīñ karūñgā maiñ
maiñ justujū to karūñgā ki dil bahal jaa.e
par us ke vāste mehnat nahīñ karūñgā maiñ
tumhāre hijr se hijrat ḳharīd saktā huuñ
tumhāre shahr se hijrat nahīñ karūñgā maiñ
milā nahīñ to duā bhī nahīñ ravā hogī
bichhaḌ gayā to shikāyat nahīñ karūñgā maiñ
sipāh-e-hurmat-e-yazdāñ ḳharīd saktā huuñ
ḳharīd lūñgā to izzat nahīñ karūñgā maiñ
karunga hasb-e-zarurat nahin karunga main
hawa ke hath pe bai'at nahin karunga main
main justuju to karunga ki dil bahal jae
par us ke waste mehnat nahin karunga main
tumhaare hijr se hijrat KHarid sakta hun
tumhaare shahr se hijrat nahin karunga main
mila nahin to dua bhi nahin rawa hogi
bichhaD gaya to shikayat nahin karunga main
sipah-e-hurmat-e-yazdan KHarid sakta hun
KHarid lunga to izzat nahin karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.